New Nohay & Manqabat Lyrics

Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai Nohay Lyrics




Haaye sayyada..(4)
Pehlu bhi shikasta hai turbat bhi shikasta hai..(3)
Kya haal yeh ummat ne..(2) zehra ka banaaya hai

1. Khatoon koi gham se yun choor nahi dekhi
aisi koi duniya me mastoor nahi dekhi
atthaara baras me hi lagti jo zaeefa hai

2. Darbaar mai zaalim ne ki aisi pazeeraai
kis tarha se tu bibi phir laut ke ghar aayi
baalon ki safedi ne sab haal sunaaya hai

3. Tu roti rahi ghar mai haider se bhi chhup chhup ke
ismat ki tarha dukh bhi parde mai rahe tere
kuch dard tere bibi bas jaanti fizza hai

4. Do aise janaaze hai taariki me jo utthe
bas ghar ke hi logon ne dono ko diye kaandhe
ek fatema zahra hai ek baali sakina hai

5. Marham tere zakhmon ka bibi na milaa ab tak
aulaade umayya ki baaqi hai jafaa ab tak
rone pe bhi pehra tha turbat pe bhi pehra hai

6. Mismaar tera roza ummat ne kiya jab se
baba tera rehta hai turbat pe teri tab se
kab ghumbad-e-khizra me baba tera rehta hai

7. Mehdi se koi puchhe kya uss pe guzarti hai
awaaz baqayya se jab rone ki aati hai
aankhon se lahu rokar woh bhi yehi kehta hai

8. Tasweer haqiqat ki khwaabon ko banaadije
aye bibi “takallum” ko taabir dikhaadije
matam teri turbat pe hote huwe dekha hai

9. Hasrat hai yahi maula har matami seene mein
aap aaaye to ho maatam jee bhar ke madine mein
har matami seene par likkha ye areeza hai

10. Wo karbobala ho ya mash'ad ho ke samarrah
yasrab ho najaf ho ya zindaan ka darwaza
har simt yahi bibi jaari tera girya hai


No comments