New Nohay & Manqabat Lyrics

Shama Se Shama Jale - Noha Lyrics - Irfan Haider




Shama Se Shama Jale,Silsila Jari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe, Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale.......

Apni Naslon Lo Sikhate Raho,Matam Ka Hoonar,
Seena Dar Seena Kare, Bus Yeh Azadari Safar,
Jaise Halath Bhi Ho, Yeh Amal Jari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe, Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale.......

Lakh Badle Yeh Zamane Ki Ravish Aur Mausam,
El Pal Bhi Na Ruke Ashk E Aza Aur Matam,
Matam E Sheh Ka Junoon Zahn Par Tari Rahe
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........

Tum Agar Zakir E Shabbir (As) Ho Yeh Yaad Rahe,
Chahe Is Gam Ke Liye Sar Bhi Kate Ghar Bhi Jale
Hurmat E Farsh E Aza, Jaan Se Pyari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........

Yeh Sabile Yuhi Aabad Rahe Ahle Aza,
Aur Ghar Ghar Pe Nazar Aaie Alam Gazi(As) Ka,
Yeh Alam Ooncha Rahe, Yeh Alamdari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........

Dunia Walon Ki Na Parvah Na Kutch Baat Karo,
Mannati Bedian Sajjad Ke Gam Me Pehno,
Raunake Farsh E Aza Giria O Jari Rahe
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........

Maao Behno Ko Hai Paigam Mera Sirf Yahi,
Aapne Bacchon Ko Juluson Se Nahi Roko Kabhi,
Yeh Shahadat Hai Sharaf, Yeh Sharaf Jaari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........

Apne  Ghar Me Bhi Aza Khana Sajana Hai Mujhe,
Apne Bacchon Ko Azadar Banana Hai Mujhe,
Taa Ke Is Nasl Me Bhi, Tazia Dari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........

Majlis E Shah (As) Ki  Zindan Me Jo Buniad Rakhi,
Asl Me Bibi O Sajjad Ki Khwaish Thi Yahi,
Yeh Azadar Rahe Yeh Azadari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........

Majlis O Matam E Shabbir (As) Ki Tableeg Karo,
Baat Yeh Mazhar O Irfan Zamane Se Kaho,
Munkir E Bibi(Sa) Se Har Haal Me Bezari Rahe,
Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

No comments