New Nohay & Manqabat Lyrics

Haye Alamdar Haye Alamdar Mir Hasan Mir Noha Lyrics


●Haye Alamdar haye Alamdar ●Karte hai matam Abbas ka Hogya marna sitam Abbas ka Haye Alamdar haye Alamdar ●Kehte the qamar tham ke yeh Seyyed e abrar Haye Alamdar haye Alamdar ●Yeh haal hai lashe ka sambhala nahi jata Teer ankh se bhai ki nikala nahi jata Imdad ko ajaiye Ya Haidar e Karar ●Zainab ne teri aas pe chora tha madina Mai kese bataon use saqqa e Sakina Mara gaya Zainab teri chadar ka nighedar ●Tum qatal hui hum pe bhi yeh chal jaigi shamsheer Agyar mai reh jaigi tanha meri hamsheer Zainab ki rida bachne ke baqi nahi aasar ●Jis tarha ghar laye the masjid se Ali ko Us tarha se le jainge khemay mai jari ko Akber mere bhai ka janaza karo tayar ●Bazoo bhi qalam hogaye aye bazuye Shabbir Tukray hai badam abkhon mai pe wast hua teer Kis ne ye meri maa ki duaon pe kiya waar ●Aati hai sadaa loot lo namoos e Nabi ko Ab marna asaan hai Hussain ibn e Ali ko Marne pe tere jashan manate hai sitamgar ●Akber hamain mushkil se bohat layein hain bhai Maidan mai girte hui hum ayein hain bhai Ankhein to zara kholo mere munis o ghamkhuwar ●Ik baat tumhain karb ki batlata hun bhaiya Jab bhi koi masooma ke marega tamacha Ro ro ke pukare ge Sakina tumhain har baar ●Tha mir taqalum yahi Shabbir ka noha Jate hui pura karo armaan hamara Aye bhai hamain bhai pukaro zara ik baar

No comments