Tu Na Aya Ghazi Lyrics Noha | Mir Hasan Mir
Jab rida sar se chini main sada deti rahi.
Tu na aaya Ghazi.
Aal-e-Imran kahan aur zindan kahan.
Ye behan qaid hui. Tu na aaya Ghazi…
Jab rida sar…
1. Hum ko paani na milay teri khusbu to rahay.
Tere baazu na katain chahay mashkeeza chiday.
Ye magar ho na saka tere baazu hain juda.
Mujh pe hai tashnalabi. Tu na…
Jab rida sar…
2. Dhoop mein tu tha shajar tujh se abaad tha ghar.
Hai barehna mera sar kya nahi tujh ko khabar.
Aye alamdar-e-wafa is behan ko ba Khuda.
Tujh se dharas thi badi. Tu na…
Jab rida sar…
3. Aa gayi shaam-e-alam lut gaye ahl-e-haram.
Rayt par jalti huvi ho gaya thanda alam.
Pursa denay ke liye mujh se milnay ke liye.
Aa gayay baba Ali tu na…
Jab rida sar…
4. Kya kahoon sher meray be rida hum ko liye.
Ye musalmaan saaray shehr dar shehr gayay.
Khilqat-e-koofa kabhi khilqat-e-shaam kabhi.
Baar ha hum pe hasi tu na…
Jab rida sar…
5. Kitni be bas thi behan aye shehanshah-e-wafa.
Naam le le ke mera jab ye zaalim ne kaha.
Naaz tha jis pe tujhay ab bulao na usay.
Aur main roti rahi tu na…
Jab rida sar…
6. Qaid khanay mein qaza jab Sakina ko mili.
Dekay kurtay ka kafan bachi dafnaayi gayi.
Us ghadi naam tera surat-e-naad-e-Ali.
Dukh mein dohrati rahi tu na…
Jab rida sar…
7. Roya Rehan qalam kar ke ye baat raqam.
Khoon mein doob gaya meray Ghazi ka alam.
Zakhmi Zainab ka jigar khoon fishaan Shah ka sar.
Aayay Khaimon mein shaqi tu na aaya Ghazi.
Jab rida sar…
No comments