New Nohay & Manqabat Lyrics

Ho Salam Oss Par Keh Jo Qaidi Bhi Hai Bemaar Bhi Nohay Lyrics

Irfan Haider (@110IrfanHaider) | Twitter

Ho Salam Oss Par Keh Jo Qaidi Bhi Hai Bemaar Bhi Nohay Lyrics 
Paon Mein Hain Aablay Our Aablon Mein Khaar Bhi.

Aankh Mein Aanso Our Zakhm Jigar Mein Honton Pe Rida Ka Noha.
Karb-o-Bala Se Haye Sham Talak Woh Kanton Pe Safar Karta Tha.
Be-Rida Syedaniyaan Oss Par Sitam Bazaar Bhi.

Nook-e-Sina Par Haye Baap Ka Sar Hai Iss Baat Pe Yeh Dil Be-Qabo.
Be-Chadar Hain Namos-e-Payamber(SAWW) Mahool Sharabi Har So.
Khoon Roye Sarbaan Our Syed-e-Abrar Bhi.

Dekhne Wali Aankhon Ne Dekha Oss Raah Mein Yeh Bhi Manzar.
Aik Musafir Paband-e-Safar Hai Khud Apni Lash Utha Kar.
Yeh Imam-e-Waqt Hai Our Qafila Salar Bhi.

Kehta Tha Keh Tauq-e-Giraan Aaya Mere Hisay Mein.
Warna Iss Foaj Mein Khanjar Bhi Hain Talwar Bhi Hai.

Khon Ragon Ka Ya Ghairat-e-Hashim Kehti Hai Jhuka Le Sar Ko.
Tauq-o-Salasil Kya Qaid Karein Gaye Haye Sabar Ke Iss Paikar Ko.
Sar Uthaye Kis Tarha Hai Rah Mein Bazar Bhi.

Dekh Ke Zainab(SA) Sajjad(AS) Ki Halat Faryad Yehi Karti Thi.
Mera Yaqeen Hai Eman Hai Mera Sham Ke Bekas Qaidi.
Roein Gaye Tujh Par Sada Masnad Bhi Our Dastar Bhi.

Baitha Kahin Par Jab Thak Ke Musafir Chalees Shabon Ka Jaga.
Neend Jo Aayi Bekas Qaidi Ko Durron Se Jagaya Jata.
Dekh Kar Roya Falak Our Zainab(SA) La-Chaar Bhi.

Pocha Ik Shaks Ne Shabir(AS) Tumhara Hai Kon.
Kaha Baba Bhi Hai Aaqa Bhi Hai Sardar Bhi Hai.

Noha Kunaa Hain :IRFAN: Our :MAZHAR: Tareekh-o-Maqatil Sab Hi.
Aal-e-Payambar(SAWW) Our Sham Ki Galiyaan Shabir(AS) Ka Beta Qaidi.
Kyun Na Hoon Mehway-e-Fogaan Qirtan Bhi Ashar Bhi.

No comments