New Nohay & Manqabat Lyrics

Aay Sham Kay Logo Mai Bint e Ali Hun Nohay Lyrics

Aaj Rukhsat Hoo Rahi hai by Mir Hasan Mir : Napster



Mai Bint e Ali hun (x3)
Ai Sham k logo mai Bint e Ali hun (x3)
Mai waris e tat’heer hun (x2)
Namoos e Nabi hun
Ai Sham k logo mai Bint e Ali hun (x2)

Bazar say darbar may lay i hu muj ko
Chahun tu jala sakti hun khutbun say mai tum ko
Sabir ki behan hun jo mai khamosh khari hun
Ai Sham k logo mai Bint e Ali hun (x2)

Afsos kaneezi may usay maang rahay hu
Tum jis k ghulumun ki ghulami may rahay hu
Ye zulm na hu ga kbhi mai zinda abhi hun
Ai Sham k logo mai Bint e Ali hun (x2)

Tum apnay Piaembar ko ager dekhna chaho
Nezay pay jo ye sir hai isay ghaur say dekho
Hum shakal Piaembar hai ye Mai is ki Phupi hun
Ai Sham k logo mai Bint e Ali hun (x2)

Or is say kathan waqt kia hu ga meray Maa’bud
Fizza k tarf’dar hain darbar may maujud
Mai pusht pay Fizza k khari dekh rahi hun
Ai Sham k logo mai Bint e Ali hun (x2)

Zahra ko bhi darbar may tum nay tha bulaya
Darbar may mai bhi hun magar farq hai itna
Perday may thee Wo or mai bay’perdah khari hun
Ai Sham k logo mai Bint e Ali hun (x2)

Zanjirun may jakra jo ye bemar khara hai
Sajda isay Kaa’bay ki fasilun nay kia hai
Mansab may berra wo hai Mai rishtay may barri hun
Ai Sham k logo mai Bint e Ali hun (x2)

Zinda tha tu der der k hamaysha he laray hu
Ab sir hai tu hontun pe charri maar rahay hu
Tum kitnay bahadur hu Mai ye dekh rahi hun
Ai Sham k logo mai bint e Ali hun (x2)

Honay lagi darbar may mushtarka azanain
Rehan idher naam e Nabi gonja fiza may
BiBi nay kaha fakhr say
Mai jeet gai hun (x4)

No comments